Monday, July 23, 2012

Aankhon mein raha…….

 

Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !!

Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge
ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha

yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne
phoolon mein chupaya huwa khanjar nahi dekha

mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN
jo chor dia phir usse mur kar nahi dekha

Pathar mujha kehta hai mera chahne wala
Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha

Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta
jis ne meri aankh mein samandar nahi dekha....

Source

No comments: